Welcome to the official website of Manzar Bhopali

Ashaar Manzar Bhopali

  • آندھیاں زور دکھائیں بھی تو کیا ہوتا ہے
    گل کھلانے کا ہنر باد صبا جانتی ہے
  • آنکھ بھر آئی کسی سے جو ملاقات ہوئی
    خشک موسم تھا مگر ٹوٹ کے برسات ہوئی
  • آپ ہی کی ہے عدالت آپ ہی منصف بھی ہیں
    یہ تو کہیے آپ کے عیب و ہنر دیکھے گا کون
  • اب سمجھ لیتے ہیں میٹھے لفظ کی کڑواہٹیں
    ہو گیا ہے زندگی کا تجربہ تھوڑا بہت
  • باپ بوجھ ڈھوتا تھا کیا جہیز دے پاتا
    اس لئے وہ شہزادی آج تک کنواری ہے
  • دن بھی ڈوبا کہ نہیں یہ مجھے معلوم نہیں
    جس جگہ بجھ گئے آنکھوں کے دئے رات ہوئی
  • ہمارے دل پہ جو زخموں کا باب لکھا ہے
    اسی میں وقت کا سارا حساب لکھا ہے
  • ادھر تو درد کا پیالہ چھلکنے والا ہے
    مگر وہ کہتے ہیں یہ داستان کچھ کم ہے
  • اک مکاں اور بلندی پہ بنانے نہ دیا
    ہم کو پرواز کا موقع ہی ہوا نے نہ دیا
  • ان آنسوؤں کا کوئی قدردان مل جائے
    کہ ہم بھی میرؔ کا دیوان لے کے آئے ہیں
  • جو پارسا ہو تو کیوں امتحاں سے ڈرتے ہو
    ہم اعتبار کا میزان لے کے آئے ہیں
  • کمانوں میں کھنچے ہیں تیر تلواریں ہیں چمکی
    ذرا ٹھہرو کہاں جاتے ہو دریا دیکھنے کو
  • خود کو پوشیدہ نہ رکھو بند کلیوں کی طرح
    پھول کہتے ہیں تمہیں سب لوگ تو مہکا کرو
  • کوئی تخلیق ہو خون جگر سے جنم لیتی ہے
    کہانی لکھ نہیں سکتے کہانی مانگنے والے
  • سفر کے بیچ یہ کیسا بدل گیا موسم
    کہ پھر کسی نے کسی کی طرف نہیں دیکھا
  • انہیں پہ سارے مصائب کا بوجھ رکھا ہے
    جو تیرے شہر میں ایمان لے کے آئے ہیں
  • یہ اشک تیرے مرے رائیگاں نہ جائیں گے
    انہیں چراغوں سے روشن محبتیں ہوں گی
  • یہ کرداروں کے گندے آئنے اپنے ہی گھر رکھئے
    یہاں پر کون کتنا پارسا ہے ہم سمجھتے ہیں
  • andhiyan zor dikha.en bhi to kya hota hai
    gul khilane ka hunar baad-e-saba janti hai
  • aankh bhar aa.i kisi se jo mulaqat hui
    khushk mausam tha magar tuut ke barsaat hui
  • aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain
    ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun
  • ab samajh lete hain mithe lafz ki kadvahaten
    ho gaya hai zindagi ka tajarba thoda bahut
  • baap bojh dhota tha kya jahez de paata
    is liye vo shahzadi aaj tak kunvari hai
  • din bhi duuba ki nahin ye mujhe ma.akum nahin
    jis jagah bujh ga.e ankhon ke diye raat hui
  • hamare dil pe jo zakhmon ka baab likkha hai
    isi men vaqt ka saara hisab likkha hai
  • idhar to dard ka pyala chhalakne vaala hai
    magar vo kahte hain ye dastan kuchh kam hai
  • ik makan aur bulandi pe banane na diya
    ham ko parvaz ka mauqa.a hi hava ne na diya
  • in ansuon ka koi qadr-daan mil jaa.e
    ki ham bhi 'mir' ka divan le ke aa.e hain
  • jo parsa ho to kyuun imtihan se darte ho
    ham e'tibar ka mizan le ke aa.e hain
  • kamanon men khinche hain tiir talvaren hain chamki
    zara thahro kahan jaate ho dariya dekhne ko
  • kamanon men khinche hain tiir talvaren hain chamki
    zara thahro kahan jaate ho dariya dekhne ko
  • koi takhliq ho khuun-e-jigar se janm leti hai
    kahani likh nahin sakte kahani mangne vaale
  • safar ke biich ye kaisa badal gaya mausam
    ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha
  • unhin pe saare masa.ib ka bijh rakkha hai
    jo tere shahr men iman le ke aa.e hain
  • ye ashk tere mire ra.egan na ja.enge
    unhin charaghon se raushan mohabbaten hongi
  • ye kirdaron ke gande aa.ine apne hi ghar rakhiye
    yahan par kaun kitna parsa hai ham samajhte hain
  • ik makāñ aur bulandī pe banāne na diyā
    ham ko parvāz kā mauqa.a hī havā ne na diyā
  • tu khuda ban ke mita.ega hamen hi ik din
    sar tere dar pe isi dar ne jhukane na diya
  • muttahid hone kā jazba thā sabhī meñ lekin
    muttahid hone kā mauqa hī havā ne na diyā

MANZAR BHOPALI

aankh bhar aa.i kisi se jo mulaqat hui
khushk mausam tha magar TuuT ke barsat hui

din bhi Duuba ki nahin ye mujhe ma.alum nahin
jis jagah bujh ga.e ankhon ke diye raat hui

  • Barkat Allah bhopali National Award
  • Hin urdu sahitya Award Lucknow,
  • Nishan-e-urdu Australia

News & Articles